Saturday, March 20, 2010

shayiri kuch dilse..............

Bas Jee Raha Hoon Ek Ummeed Ke Saath


Bas Jee Raha Hoon Ek Toote Dil Ke Saath

Kisika Saath Nahi Aur Koi Baat Nahi

Bas Jee Raha Hoon Ek Tanhaai Ke Saath

Khush Na Rakh Paaya Kisiko Main

Bas Jee Raha Hoon Ek Isi Gum Ke Saath

Roothna-Manana Aur Phir Juda Ho Jana

Bas Jee Raha Hoon Ek Unhi Lamho Ke Saath

Bani Rahe Wo Taaviz Mere, Bhale Door Hi Sahi

Bas Jee Raha Hoon Ek Usi Dua Ke Saath

Bas Jee Raha Hoon Ek Aatm-Vishwaas Ke Saath

Bas Jee Raha Hoon Main Mere Parchhai Ke Saath...Tum bhi khush raho tumahari duniya mein....